07 March 2013


An Ode to the Street Tailors


Daudti - bhaagti duniya ki
behti almaariyon main
Fate kapdo ko kaun dekhe?

Naye kapdo k hisaab se
mota-patla hone ki dhun main
Khaas aapka naap kaun puche?

Fati jeans toh khair pehen bhi loge 
Par shirt ka button nikal gaya toh
RUK jayegi ye duniya, ek darzi ke vaaste!






Uljhe mann ke soch
Uljhe sawaal puche

Dhundhle puraane yaad
Kabhi shor bankar goonje

Unche sapne mann ke
Adhoore bhatak rahe

Par dhundhe kis manzil ko?
Ye chanchal raahe?

Aur naraaz is dil ko
Kaun thaame?

Pareshaan hun main 
Rozaana

Ae zindagi mujhe
Aur aazmana!





Chai, Paani aur Woh


Sarkari naukari
Chai-paani k naam par
Paisa vasooli
Thi roz ki baat

Jaane kahan kho gaya!
Woh krantikaari jawaan
Khareed gaya use bhi
Yeh nasamajh samaaj

Pacchees ka tha woh
Par peeta tha chai hazaar ki
Saare aisho-aaraam the toh!
Phir bhi khudse naraazgi

Ek din daftar aayi woh
College main pasand thi jo
Woh muskuraya
Par usne nahi pehchana

Ab thodi raha woh wahi insaan
Paanch ki chai peeta tha jo
Aur karta baatein hazaar
Jise sunti thi woh